Zafar Hamidi
India
asadhamidi@yahoo.com
gar ishq ka hai shauq, dil-e-beqraar rakh
mehboob ke qadam pe gareebaN ke Taar rakh
mausam zaroor badlega purwai aaegi
"paiwasTah rah shajar se ummeed-e-bahar rakh"
ek qaTra Khoon-e-dil kabhi mizhgaN pe aaega
ehsas-e-Gham se aankhoN ko Tu ashkbaar rakh
raDD-e-amal ajeeb sa aaega phir nazar
belaus ho ke Tu zara Dushman se pyaar rakh
auham-o-waswasa ke karishmaT ko na dekh
apni KhiraD pe apna hi Tu eKhTyaar rakh
phooloN ka haar sabke gale may Tu daal De
apne liye bacha ke ek kantoN ka haar rakh
logoN ki bheeR may abhi bus aik aaDmi
Tu apna humKhyal bana, Ghamgusaar rakh
chhup kar zafar shikasTah anaa ke mazar par
Tu walehana apni jabeeN baar baar rakh |