Nazim Naqvi
India
naqvinazim@yahoo.com
hansna hansana seekh le kuch pyaar-vyaar rakh
mahaoul apne chaaroN taraf khushgawaar rakh
itna yaqeen theek nahi na-umidi ka
aankhoN maiN be-wajah hi sahi, intezaar rakh
kya farz hai ki uski her-ek chaal theek ho
tootega ye bharam bhi kabhi, aitbaar rakh
maousam ki be-khayali ko yoN dil se mat laga
pewast rah shajar main, umid-e-bahaar rakh
samtoN ka intekhaab na ker, raahber na dhoond
khud ka safar hai, khud pe hi dar-o-madaar rakh
rakh-rakh ke thak chuka hai, to hai aakhiri ye arz
to aisa ker, ki nazim-e-khasta se pyaar rakh