Nazia Nazar
Pakistan
nazianazar@hotmail.com
wabasta apni zaat say har aitbar rakh
pewasta reh shajar say umeed-e-bahaar rakh
shayaan-e-shaan hai teray manzil pe pohachna
apnay wajood ko na sar-e-rahguzaar rakh
jeewan ki dhoop maiN kehti hai teri yaad
sang apnay ye aik shajar-e-sayadaar rakh
too bhi samajh jae ga karb ki shiddat
aankhoN maiN kabhi aik shab-e-intizaar rakh
is rah-e-muhabbat maiN paaya kia kho dia
maiN hisabe gham karoN too khooshi ka shumaar rakh
kia janiyay mann maiN bas jae kab khooda
dil maiN kabhi na nafratoN ka ghubaar rakh.