Khatib Hamidi
India
mkhamidi@yahoo.com
meri nazar may apni nazar baar baar
rakh
ek Teer Dil, jigar kay hamesha hi paar rakh
Daman may uskay gul m'ri rahoN may Khaar rakh
ek haaTh may sitaray a'r ek may Ghubaar rakh
DhaRkan pe apni kuchh bhi To, Tu eKhTyaar rakh
aiy beqraar Dil Tu zara To
qraar rakh
aankhoN ko ho sakay To zara ashkbaar rakh
"paiwastah rah shajar se ummeed-e-bahar rakh"
Gham se jo hai T-alluq usay usTwaar
rakh
rakhna hi hai agar To Dil-e-sogwaar
rakh
sarchashma Terey Dil may muhabbaT ka hai agar
sookhay har aik hont pe aansoo ki Dhaar rakh
aiy mauT zinDagi ka abhi haaTh main hai haaTh
Thamoonga Tera haath bhi, Tu aitbaar
rakh
Dil may naheeN jo ishq To kaahe ki banDagi
sajday may apnay sar ko agarche hazaar rakh
kaaba agar naheeN To isay
buTkaDa bana
Dil may KhuDa ki yaD ya Tasveer-e-yar rakh
hamlay shaDeeD honge anaa ke KhaTib
phir
qaaim KhuDi ke girD KhuDa ka hisaar
rakh