Nazia Nazar; Lahore, Pakistan
nazianazar@hotmail.com
kia dastaaN sonaooN adhoori mulaqaat ki
na ji bhar ke dekha na kuch baat ki
ik behtay samandar maiN hooN qatray ki soorat
kia hesiyat hai is jahaaN maiN meri zaat ki
har bazm ko aabaad kareN gay ye or baat
dunya ojar chuki meri daroon-e-zaat ki
tuj se bichar ke guzray din teri yaad maiN
or aksar ro ro kay ashkoN maiN raat
ki
toofaN maiN mujhe chor gaya wo to yaad aaya
sahil pay qasam khai thi os nay saat ki
shikwa os say khatm-e-muhabbat ka kiuN karooN
jab faani har ik cheez hai is kainaat ki
irada omar bhar na milnay ka kar kay
aaj ham nay os say phir mulaaqaat ki
na saawan ke choolay na lehratay aanchal
gum kahaaN ho gaeeN wo ronakeeN barsaat ki
dunya say har dukh mita deti NAZI
kaash baat hoti ye mere haat ki