Urdustan > Mushaira > 2002 > March
 

Hardev Ashk, Richmond BC, Canada
hardev2000@yahoo.com

ajab hamne unse mulakaat ki
na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki

dekhte dekhte dekhte rah gaye
gazab dastaaN Thi us raat ki

Dharkte jawaaN dil do chhat pe mile
badli ne booNdoN ki barsaat  ki

jinke kadmoN meiN dil.o.jigar rakh diya
na kadar kar sake meri saugaat ki

saaTh saaTh chalaa kaNdha de na saka
usko majbooriyaaN thiN  halaat ki

kadam hasratoN ke uThe rah gaye
khabar aaee unki jo baraat ki

shahar ki aag meiN ram rahim jal gaye
dair.o.haram ne  khurafaat ki

khoon sard huaa Dhalke paani hua
"ASHK" baateiN karo na jazbaat ki

Abhinav Shukla

Anant Kaur

Bushra Butt

Hardev Ashk

Kamran Raja

Nazia Nazar

Paramjit Singh

Preeti Minhas

Rizwan Dost

Sajid Ali

Shoib Tanvir

Waheed Razzaq

Yasmeen Yaas
 


||  urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
messageboard | mazameen | nuqta | awaaz | tanz-o-mazaah | whats new?
e-mail : webustaad@urdustan.com
privacy