Bushra Butt, New York, USA
bbutt@urdustan.com
Ajab haal mein ik mulaqaat kee
Na jee bhar kay dekha, na kuch baat kee.
Sambhal bhee na paayey sahar ho gaee
Na janay basar kab, kahan raat kee.
Mein kat-ta rahaa, aur woh hansta rahaa
Bohut lutf mein thaa, mujhe maat dee.
Jalaata hay berfeelee see aag say
Yeh kaisee khaasiyyat hay oos zaat kee.
Mera ghar jalaatee bahaatee gaee
Kuch aisee hee rut thee woh barsaat kee.
Wahaan laa kay mujh ko daboya keh jab
Mereey naao sahil say do haath thee.
Har ik teer oos ka nishaaney pay thaa
Mein deta hoon daad oos kee her ghaat kee.
Yeh kiyaa maajra keh woh hans ker milaa
Hay imkaan qismat merey saath thee.