Abhinav Shukla
abhinav_shukla@infy.com
Ye kaisi sharaarat mere saath ki,
Na ji bhar ke dekha na kuch baat ki,
Na koi bhi dastak hui is taraf,
Hai ye chhedkhani khayaalat ki,
Mere rehnuma mere kaatil bane,
Bani aag mehndi tere haath ki,
Kafan par sitaare chamakne lage,
Ghadi aa gayi apni baarat ki,
Kya wo aadmi se khatarnaak hain ,
Chhidi baat dozakh ke jinnat ki,
Abhi itne behtar nahin gulsitaan,
Ki 'Abhinav' karein baat haalaat ki.