Praveen Saxena
New Delhi, India
psaxena@fcbulka.com
Pehna hai dekho yaar ne, kya bemisaal sehra
Layaa hai kaisa rukh pe, rang-e-jamaal sehra
Ghar bhar ke sab badoN ki, duaoN ka hai asar
Zeenat bana hai sar ki, kya bemisaal sehra
Ek maaN ki mannateiN kya, layii haiN rang aaj
Pehney khada hai dekho, us maaN ka laal sehra
Ab to qadam zamiiN pe, padtey nahiN haiN uskey
Bedley hai kaisey yaar ki, dekho to chaal sehra
Zazbaat ko samajhta, sunta hai dhadkaneiN
Hai jaanta diloN ke, pal-pal ka haal sehra
Sehrey ke saath hai ye, ek ibteda nayii
Dulhe se ke raha hai, rakhna khayaal sehra
Hai dua yahi khuda sey, aye dost khush rahe tu
KhushiyaaN teri badhaye, ye saaloN-saal sehra
Terey roz-o-shab hamesha,raheN gaatey muskuratey
Karwaaye zindagi sey, tera visaal sehra
Jis mihnat-o-lagan se, hai bana ye tera sehra
Usii dil sey hai ‘Praveen’ ne, kaha ye kamaal sehra