Urdustan > Mushaira > 2002 > February

Waheed Razzaq, Russia
wahidaas@yahoo.com 

    
Aahon ki ataa kayoon ho, lafzon ka ziyan kayoon ho. 
lehja tum hue jiska dukh uski zubaan kayoon ho. 
 
Tapash mein jo ghata na de habs mein jo hawa na de 
Woh sanam mera yaqeen kayoon ho,woh but mera eeman kayoon ho. 
 
Janmon baad mila hai woh to rooh mein kayoon chuppa na loon 
Doori ka biyan kayoon ho,khauf ka nishan kayoon ho. 

Karri kathor rahon ka barra nayab tohfa hai. 
Bapa dil mein jo toofan hai woh dunya pe nihan kayoon ho 
 
Nigah teree jafaa hai to sitm teree wafa janaan! 
Hue tum dost jiske dushman uska aasman kayoon ho. 

Bushra Butt

Hardev Ashk

Preeti Minhas

Nazia Nazar

Waheed Razzaq
 
 

 


||  urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
messageboard | mazameen | nuqta | awaaz | tanz-o-mazaah | whats new?
e-mail : webustaad@urdustan.com
privacy