Urdustan > Mushaira > 2002 > February

Many of the entries we had to discard because they didnt fulfil the rules of the mushaira, next time please read and follow the rules. 

winner : Bushra Butt, USA
bbutt@urdustan.com

    
Sabhee hairan hein aamad aap kee phir meray haan  kiyoon ho, 
Mein khud bhee sochta hoon mujh pay itney meherbaan kiyoon ho. 

Mein sunta hoon tumhein raghbat hey aatish say aiy jan-i-jaan, 
Tum jis per aazmao shauq, mera aashian kiyoon ho. 

Yeh manaa narmee-i-jazbaat teree khoo nahin laikin, 
Badalna khud ko meray waastey itna giraan kiyoon ho. 

Jo tum mujh per na barso, to lapaktee bhee nahin bijli, 
 "Huey tum dost jiskey dushman oos ka aasman kiyoon ho. 

Karoon naa ghar ka teray rukh, yeh qaasid nay kaha mujh say, 
Basaa ab ghair teray ghar, tu mera maizban kiyoon ho. 

Pataa oos ka batao manzilon pay jaa kay jo dum lay, 
Lutay jo raastay mein hee, woh mera kaarvan kiyoon ho. 

Barrhee jo dhoop kee garmee, to zulfon ka khiyaal aaya, 
Agar taivar teray tekhay, to mujh per saiban kiyoon ho. 

Muraadein bar na aanyeen, pattharon say jo lagaeey lo, 
Khuda ko mein manaa loon to, dua phir raigaan kiyoon ho.

Bushra Butt

Hardev Ashk

Preeti Minhas

Nazia Nazar

Waheed Razzaq
 
 

 


||  urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
messageboard | mazameen | nuqta | awaaz | tanz-o-mazaah | whats new?
e-mail : webustaad@urdustan.com
privacy