Nadia
Mahmood
Karachi, Pakistan
talash2002@hotmail.com
BARISH BARSI TOO:
...................
barish barsi too............
miti ki khosh boo ne kaha ................
tune mujh main kisi ki yaad ko taza kar dia hai
bichre howe mausam mujhay pukar rahe hain
mera ahsaas mere khuwaab aur mere rang
zinda ho gaye hain ............
main apne wajood main ..............
khub suraat hathoon ka lams .........
aur khosh rang chehroon ka tekha pan mahsoos kar rahi hoon
zameen ki miti ki tarhaan main bhi to ek miti hoon
barish barsi too...............
mujhay bhi teri yaad ne ghair lia hai
teri awaz tera chehra teri batain
mujhay pukar rahi hain ...............
gehri neel jheel main kanwal khil uthay hain
gulaaab mehkay hain .........
aur aine main tera aks chamak raha hai
barish ki bundoon ne ...........
tujhay milne ki arzoo ko bohat tez kar dia hai
aur tere pyar ki pyar mujhay agg ban ker jala rahi hai
....................
|