Anamika
Sharma
New Jersey, USA
anamika235@hotmail.com
hai zindagi hum se bezaar kyu
hai mushkille itni dushwaar kyu
hai karna paar yeh lamba safar
hai maut ka fir yeh intezaar kyu
chaayi naa ummeedee har taraf
hai khudha pe fir bhi i'tbaar kyu
rukti khushiya aate aate
yeh hota hai aisa har baar kyu
hai maa ka darjaa sabse oonchaa
hai mumtaa fir itni laa chaar kyu
kehte hai duniya humari
fir duniya ko hum inkaar kyu
hai koi 'anamika' gham-gusaar
iss sapne mein hum giriftaar kyu.