Urdustan.com
 Urdustan > Mushaira> 2001 > October
 
R. Mohammed Moinuddin Shakeel Naithy 
naithy@eth.net
  Chennai,India


    mat cHeR dard o Gham ka fasana mere aagay
     " hota hai shab o roz fasana mere aagay"

    hargiz naheiN huN dowlath o shorath ka talabgaar
      bekaar haiN ezaaz-e- zamaana mere aagay

    toRa hai jis ne maar ke THoker mera saboo
      aayega kisi roz woh pyasa mere aagay

    ek aisy dawa do jo miTa de tamaam Gham
      beemar ye karta hai taqaaza mere aagay

    doctor huN meiN GhareeboN ka har roz sub'h o shaam
      dukh dard ke maaroN ka hai taaNta mere aagay

    pee kar ma'ye alast ye kehta hai ab shakeel
      "baazecha-e-atfal hai duniya mere aagay"
 



 
      Abubakar Aarif
Anant Kaur
Ashok Jain
Irfan Shakeel
M. ZillurrerhmanKhan
Nazia nazar
R. M. Moinuddin Naithy
Swaleh Atcha


||  urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
messageboard | mazameen | nuqta | awaaz | tanz-o-mazaah | whats new?
webustaad

Click Here!