Abubakar Aarif
Abu_Aarif@urdustan.com
Toronto
Sawaal...?
woh kaun tha .....
.jo sho'loN ka libaas pehnkar eendhan ka samaaN bana
kiske liye wehshat zadah ne ye kam kiya
?
Kaun tha woh ......
jo khud to huwa fanaa magar auroN ki
zidgi azaabnak bana gaya
kaun tha who ........
jo apne junoon ka sho'la dehka gaya
na marne waloN ko qatiloN ka pata
aur
qatiloN ko shayed ye ma'loom bhi nahin
ke
khud apna qatal kiyuN kiya ?
kiyuN huwa insaniyat ka qatal logo ?
kiyuN huwa insaaN pe musallat shetaaN logo?
zindgi aisi tu na thi kabhi?
zindgi arzaaN tu na thi kabhi
mana ke zindgi hai mouat ki amaanat
lekin
aisi mouat kise ghawara ?
zindgi jo thi kabhi
chmakte suraj,damakte chaand ki tarah
zindgi jo thi kabhi
fazaoN meiN gungunati hawaoN ki tarah
zindgi jo thi kabhi
wadioN meiN behte jharnoN ki tarah
aaj
zindgi ko kiski nazar kha gaie
jo zamane pe yun qiyamat dha gaie
ab zindgi ruswa sar e bazaar hai
lashoN ka laga anbaar hai
zindgi khun meiN luthRi huwi
zindgi rah meiN bhikri huwi
shehroN pe dehshat ka saya hai
mere Khuda ! ye
Kaisa waqt aya hai
log
dehshat ke marey makanoN ke andar
chilman e bujhi huwieN be~jalwah bam o dar
jidhar dekho nazar aata hai andhera
kaun jane kho gaya hai kahaan savera
hai kiska is meiN dosh ?
koii mantaa hi nahiN
koii jantaa hi nahiN
sabhi yaaN nirdosh ! !
ye kaienaat kiya hai
ik loh e tifl e maktab
jahan
koii nuqsh paiedaar nahiN
poocha jab meiNe dil se
lamhe who rahat ke
shab o roz who chahat ke
aakhir huwe kiya ?
Aayee ik sada nihaaN se
rona kis kis ka ro'ooN meiN
bazinya ho ya checheniya
arz e phalistine ya wadi e kashmir
jab talak bazar e dehr meiN hai dehshat garoN ka vajood
hota rahega hardam tamasha mere aage