Urdustan > Mushaira > 2001 > November

 
 Hardev Ashk, Richmond, Canada 
hardev2000@yahoo.com

       yaa illaahi khudayaa yeh kayaa ho gayaa
   aaj fir koi ham se khafaa ho gayaa

   gali ke moR se dekhta voh rahaa
   hamne awaaz di to havaa ho gayaa

   kaisaa ittefaaq Tha rukhe se parda uRa
   bijliaaN zalzalla dil ko kayaa ho gayaa

   teri duniya dastur ajab hai khuda
   vafaa jis se kari  bevafaa ho gayaa

   dostoN ki kami to nahi hai magar
   dosti ko na jaane hai kayaa ho gayaa

   "Ashk" jhoomta naachta shaitaaN chaaroN taraf
   jab se aadab zameeN pe khuda ho gayaa


Ananat Kaur

Faisal Manzoor

Hardev Ashk

Irfan Shakeel

Meenakshi Madhur

Neelam Jain

Sawera Falack

Swaleh Atcha

Syed Naveed Anjum
 


Click here to visit the Pak Ranks
||  urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
messageboard | mazameen | nuqta | awaaz | tanz-o-mazaah | whats new?
e-mail : webustaad@urdustan.com
privacy