Faisal
Manzoor; Lahore, Pakistan
umaygo2@hotmail.com
nigah ki aakhri hadh tak chaloon ga
mein rah ki aakhri
hadh tak chaloon ga
tujhey paaney ki khawahish
dil mein ley kar
dua ki aakhri hadh
tak chaloon ga
mujhey tera kinara
dekhna hey
jafa ki aakhri hadh
tak chaloon ga
agar woh neem wah aankhein
pilaaen
gunah ki aakhri hadh
tak chaloon ga
bhattak kar us sheher
mein ittefaqan
nazah ki aakhri hadh
tak chaloon ga
mein kaisey aeteraf_e_ishq
kar loon
ana ki aakhri hadh
tak chaloon ga
woh khanjar bhi agar
maarey to faisal
wafa ki aakhri hadh
tak chaloon ga
|
Ananat Kaur
Faisal Manzoor
Hardev Ashk
Irfan Shakeel
Meenakshi Madhur
Neelam Jain
Sawera Falack
Swaleh Atcha
Syed Naveed
Anjum
|