Lafz
: ittefaaq
winner : Meenakshi Madhur,
Australia
meenakshi_madhur@yahoo.com
* Haseen It'tefaaq *
kabhee yeh it'tefaaq bhee hotaa
maiN jis raah se guzartee
woh bhee usee raah se guzartaa
aur jis ghar usay hai jaanaa
us ghar kaa pataa woh
aakay mujhsay poochtaa
aur jis patay pe usay hai jaanaa
woh mere hii ghar kaa pataa hotaa.
kabhee yeh it'tefaaq bhee hotaa
merii woh kitaab jismeiN maiN-nay
intezaar meiN uskay
likh rakhii haiN nazmeN,
pannay us kitaab ke
meray haath se chooT jaatay.
chooTkar woh pannay
hawaa meiN lagtay uRhnay
maiN un pannoN kO pakaRnay
unkay peechhay dauR jaatee
unheiN pakaRatay sameTatay
us jagaah pe pahuNch jaatee
jahaaN woh mujhko
khaRaa huaa miltaa.
kabhee yeh it'tefaaq bhee hotaa..