Urdustan > Mushaira > 2001 > May
 

Hardev S.  ASHK
hardev2000@yahoo.com 
Richmond, BC, Canada 

hasrat ke jharokhoN se us paar jo dekhooN maiN 
badli meiN chhupe apne dildaar ko dekhooN maiN 

bas yehi tamanna hai baahoN meiN teri aakar 
avaargi  chhoRooN griftaar ho dekhooN maiN 

sunte haiN mil jaaye har cheez bazaaroN meiN 
hai kidhar dukaaN teri bazaar ho dekhooN maiN 

toone to zamaane har phool kuchal Daala 
saNg kaise chalooN teri raftaar ko dekhooN maiN 

palkoN ne chhupaai ashk aaheN rahiN dil meiN 
mehfil meiN liye khaNjar yaar ko dekhooN maiN 

aai Shaah.e. jahaaN teri haalat ko samajhta hooN 
Mumtaaz soi apni us paar jo dekhooN maiN 

auroN ki trahaa dauRaa kayaa khoyaa kayaa payaa 
manzil ke saaye meiN bezaar ho dekhooN maiN 

ASHK kahe Khuda  ye Waqt nahiN ruktaa 
chaahooN to badalna ise laachaar ho dekhooN maiN 

       Abdul Sami 
   Abubakar Aarif 
      Anant Kaur
      Azhar Naqvi
  Bharath Yempati 
    Farrukh Abbas
 Hardev S.  ASHK
     Kasim Siddiqi 
    Khatib Hamidi
  M. Kabeer Khan
Maroof K. Hazarvi
     Mohd Naeem
      Pritpal Singh
    Saadiq Sukhan 
   Sher Azam Shah 
     Swaleh Atcha
     Zafar Hamidi


||  urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
e-mail : webustaad@urdustan.com

Click Here!