Zafar
Hamidi
asadhamidi@hotmail.com
india
MANZAR PAS-E-MANZAR
ek muheeT-e-bekaraN
hai laa-shaoor
jaise ho ek DhunD
chhai har Taraf
DhunD maiN poshidah
haiN aafaaq ke
anginat asraar
jin ki had naheeN
DhunD hi hai Khaliq-e-aafaaq
ka goya hijab
laashaoori DhunD
se ubhra hai lekin yeh shaoor
yaani insaaN ka
shaoor!
yeh Khaliq-e-aafaaq
ka hai aainah
jaise ho ek pul
saraaT
jiske neeche aik
darya-e-wajooD
bah raha hai jo
azal se Ta abaD
ek karishma hai
yeh pul
joRTa hai Khaliq-o-maKhlooq
ko
har zamaane maiN
naye anDaaz se!