Urdustan > Mushaira > 2001 > May
 

Swaleh Atcha
swalehatcha@urdustan.com 

ye sarab tu fareb e nazar hai'  khayaal rakhna 
na manzil koie, na  rehguzar hai' khayaal  rakhna 

kaheen  bhi kunj e khayabaan  e  sakoon  moyassir naheen ! 
ye dhast e tapaan tu be~shajar hai' khayaal rakhna 

badalti rutoN ke saaye heiN ja ba ja 
musam e chashman e tar hai' khayaal rakhna 

"reh e talab ke  musafiroN se  koie ye  kehde" 
"us be~wafa ka shehr hai" '  khayaal rakhna 

chehre  chehre  heiN  ajnabi  soorteN 
 na koie yaaN mo'tabar hai' khayaal rakhna 

milta naheen hai jadah e manzil ka nishaan 
aur tanha tanha safar hai ' khayaal  rakhna 

 dil e mo'tabar thehr ! nikle na aah kisi ke liye 
raat  ka  aakhri  pehr  hai '  khayaal  rakhna 

jo baat ho kehna'  souch samajh  ke kehna 
ye baab' baab e hunar hai 'khayaal rakhna 

kiya  intiqaam  lena  ab  "us se"  Swaleh 
"woh" tu khud dar badar hai' khayaal rakhna

       Abdul Sami 
   Abubakar Aarif 
      Anant Kaur
      Azhar Naqvi
  Bharath Yempati 
    Farrukh Abbas
 Hardev S.  ASHK
     Kasim Siddiqi 
    Khatib Hamidi
  M. Kabeer Khan
Maroof K. Hazarvi
 Mohd Naeem
      Pritpal Singh
    Saadiq Sukhan
   Sher Azam Shah
     Swaleh Atcha 
     Zafar Hamidi
Zahra Rafique


||  urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
e-mail : webustaad@urdustan.com

Click Here!