Urdustan > Mushaira > 2001 > May
 

Saadiq Sukhan
hey_sadiq@yahoo.com 
 California, USA 

users_message: shabnamii subhaa hai aa_yii hoke tuu do chaar jaa 
baadlo.n ne sar jhukaayaa chuumtaa rukhsaar jaa 

sun zaraa baadal ye tere pech-o-kham kuchh bhii nahii.n 
dekhne mere sanam ke gesuu-e-khamdaar jaa 

aasmaa.N suunaa pa.Daa hai panchhii tuu parwaaz le 
kar hawaa se chand baate.n ghumne sansaar jaa 

kho chukaa taair kahii.n tuu taaqat-e-parwaaz agar 
le ke naalo.n kii mere tuu quvvat-o-raftaar jaa 

gar tasavvur ke liye chhotii pa.De hai ye zamii.n 
to.D de zanjiir-e-fitrat baadlo.n ke paar jaa 

wo merii jaan-e-sukhan wo shabnamii sur gum hue 
aa nasiim aakar tuu merii ruuh ko jhankaar jaa 

Gam ki gahrii nii.nd me.n arse se yaa.N sotaa huu.N mai.n 
jaa kahe ko_ii shafaq se kar mujhe bedaar jaa 

kho gayii 'Saadiq' terii tarz-e-bayaan-e-husn kab 
apne kamsin khvaabo.n ko tuu Dhuu.NDhne ik baar jaa 

       Abdul Sami 
   Abubakar Aarif 
      Anant Kaur
      Azhar Naqvi
  Bharath Yempati 
    Farrukh Abbas
 Hardev S.  ASHK
     Kasim Siddiqi 
    Khatib Hamidi
  M. Kabeer Khan
Maroof K. Hazarvi
 Mohd Naeem
      Pritpal Singh
    Saadiq Sukhan 
   Sher Azam Shah 
     Swaleh Atcha
     Zafar Hamidi
Zahra Rafique


||  urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
e-mail : webustaad@urdustan.com

Click Here!