|
|
![]() |
| Urdustan > Mushaira > 2001 > March |
| Mohammed Moinuddin Naithy 'Shakeel'
naithy@eth.net Chennai.India ************************************************** Sonnet- Talibaan ke naam-yek paighaam. *************************** PatHer ki moorty ho, ya ho khaak ka putla,
Inko jo khuda kehti hai us fikr ko toRo Dam ke baGair aadmi bhi khaak ka putla. Dam kya hai? bas ek jazba-e-ulfat wo mohabbat is jazbe ko pHailao na pHailao ye nafrat; tum talibaan-e-deen ho, quraaN ke ameeN ho, apna hi makaaN toRte ho kaise makeeN ho.
apna watan saNwaro ye dehshatgari choRo khud apne hi aasar-e-qadeema ko na toRo; dil se nikaal pHeNko ta'assub o dushmani jeene ke liye chahiye bas pyaar o dosti; roshan fikr bano karo kuch tHos kaam tum duniya meiN banaao alag apna muqaam tum.
|
Aslam Sahbaa |