Aslam Sahba
aslam_sahbaa@my-deja.com
1.
"patthar
kii muurtoN meN samjhaa hai tu Khuda hai"
shiishe
ke dil ko tu ne samjhaa sanam_kadaa hai
2.
jis_dam
lahuu piyaa hai pyaalaa banaa ke dil ko
jaam-e-sifaal
meraa mujhko ajal_numaa hai
3.
yaa Rab!
yeh rahne_vaale haiN jaane kis nagar ke?
'ashva
ho ya ho ghamza, na jaane kyaa adaa hai!
4.
dekhaa
hai jab se tumko, yeh lag rahaa hai mujhko
na tujh
se maiN judaa huuN, na mujh se tu judaa hai
5.
dekho
lachak rahii hai kaisii kamar yeh phuTkal
pustaaN
kaa bojh uupar kaisaa ladaa huaa hai
6.
tum jis_qadar
hasiiN ho, sadqa bhi us_qadar do
terii
galii meN 'aashiq kaasa liye khaRaa hai
7.
kyaa
khuub phir jamegii, mil baiThiyegaa jis_dam
shaadii_shudaa
hai MajnuuN, Lailaa bhii byaahataa hai!
8.
is 'aashiqii
meN jaayeN itne bulaNd naale
uN niim_'aashiqoN
ko merii sadaa daraa ho [sorry for using "ho"]
9.
suNtaa
huuN kis maze se maiN uNkii lan_taraanii
gaalii_galauj
jis par "Sahbaa" jii bhii fidaa hai |