Urdustan > Mushaira > 2001 > February 
Kauser Saiyed
kausarsaiyed@hotmail.com
California, USA

   yahi woh dar hai jahan raunaqon ke melay they
   yaheen khushi ne kayee khel aa ke kheley they

   yaheen pe ghar tha jo jannat ka aayina sa tha
   ya...meray dil mein koi aysa vaahima sa tha

   har ik qadam pe woh khushiyon ka ik khazana tha
   mein kya kahoon tumhein us ka bhi kya zamana tha

   yaheen dareecha tha jis par pukartey they parind
   isi mundeir se urdna bhee seekhtey they parind

   yaheen pe aake mayassar tha hum ko chain-o-qaraar
   yahee gharounda tha jayse ke apna ik ghumkhwaar

   har ek fard yahaan khushkhush'haal rahta tha
   har ek mil ke yaheen ranj-o-ghum bhee sehta tha

   tamaam umra ki mehnat ka tarjuman tha mera
   meri pasand ka khwabon ka tarjuman tha mera

   kahan woh jaah-o-jalaali, kahaan yeh barbaadi
   sahee na jaaye hai mujhse to ab yeh uftaadi

   vahee jageh hai magar mehfil-e-tarab naabood
   gumaan tha jis pe mujhey khuld ka woh sab naabood
 

   zara si deir mein dekha hai us ko dhalte huvey
   bharey makaan ko ik dheir mein badaltey huvey
 

   dua hai ab ke khuda ka karam rahe sab par
   hifazatein hon sabhee ki rehem rahe sab par

 

Abu Aarif 

Azam Shah

Bushra Butt

Hardev Sodhi Ashk

Kauser Saiyed

Meenakshi Jha

Mohammed Moinuddin Naithy

Pathan Firose Khan Aish

Qaiser Mehmood

Sajid Ali Behrani

Sarita Gupta

Steve Almas

Swaleh Atcha

Syed Naveed Anjum
 



||  urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
e-mail : webustaad@urdustan.com

Click Here!