Hardev Sodhi "Ashk"
hardev2000@yahoo.com
Richmond, BC, Canada
ZALZALLA_E_GUJRAT
zamiN ki chhaati phaTi
aasmaN kaaNp gaya
ik zalzalla aaya
kitne gam baanT gaya
bildiNge laRkhaRake giriN
mast sharaabi ki tareh
Mahadev hoke gussa
kar taNDav naach gaya
bikhri paRi Thi laasheN
khaNDar huae makaanoN meiN
choozoN ke Darbe se
jaise guzarke saaNp gaya
sisaktaa betaa Tha kahiN
krahti kahiN maaN bahana
"ziNda mein kayoN rahaa"
rota huaa baap gaya
ummid hai roshan "Ashk"
insaaniyat hai ziNda
bhulaake sarhaddeN, lekar kumak
har desh 'Gujraat' gaya
GLOSSARY:
zalzalla- earthquake, choozoN ka Darbaa- pen of baby chicks,
kumak- assistance |