Urdustan > Mushaira > 2001 > February 
Bushra Butt
bbutt@urdustan.com
New York, US

   Jo kabhi thaa aik gulshan woh bana diya veerana
   Aay zameen tu ney chheena hey kiyoon mera aashiyana

   Thhee galee galee say aatee sadaa shokh qehqahoon kee
   Magar ab changhaarta hey yahan maut ka tarana

   Yahan gulrang aanchalon kee jo theen sarsarahatein see
   Unhein lag gaeey kisi kee nazar aik zalimana

   Kaeey dulhanon kee maangon ka sindoor so gaya hay
   Kisi mahajabeen ka teeka bhee na ho saka purana

   Kahin adh-khulee see aankhon mein basey hazar shikwey
   Kahin bebasee kay aalam mein ik maan ka bilbilana

   Yeh hay zindagee say haree hoeey aik chhotee bastee
   Sun aey maut kay farishtay zara ab sambhal kay aana

   Yahan dab kay reh gaey hein subh-o-shaam kay fasaanay
   Khabee dhoond lay gee shaaid inhein gardish-i-zamana

   Aey meray chaman kee turbat, karoon kiya nisaar tujh per
   Sabhee ashk beh gaey hein, mein luta chukaa khazana. 

Abu Aarif 

Azam Shah

Bushra Butt

Hardev Sodhi Ashk

Kauser Saiyed

Meenakshi Jha

Mohammed Moinuddin Naithy

Pathan Firose Khan Aish

Qaiser Mehmood

Sajid Ali Behrani

Sarita Gupta

Steve Almas

Swaleh Atcha

Syed Naveed Anjum
 



||  urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
e-mail : webustaad@urdustan.com

Click Here!