Urdustan > Mushaira > 2001 > February 
Abu Aarif
AbuAarif@urdustan.com
Canada

                     BHUJ
                    ======

   Kaltak aabaad yahan ik  shehr tha
   Oosi shehr mein apna bhi ghar tha

   Qaza ko janay adaa kya bhaagie
   Aisa sitm hum par  woh dhaagie

   Kaisi  qayamat ki woh  ghRhi thi
   Dekha chahaarsu tu mout khaRhi thi

   Shehr ke shehr dekho hogaye khandraat
   Sabhi logon ke khogaye din aur raat

   Naheen salaamat makeen o makaan
   Uthta hay Ghubaar'hartaraf hay dhuwaaan

   Rishtay natay saray choot gaye
   Bundhan jeevan bhar ke toot gaye

   Milta naheen kisiko manzil ka pata
   Maan Baap se huway Bachchay juda

   Dekho tu kaisa kaarzaar hay
   Lashon ka lagha Anmbaar hay

   Haqeeqat hay ya koy khawaab hay
   Ilaahi tera kaisa yeh azaab hay

   Karday khataa mo'aaf hamari aye Khudaya
   Chajaye teri Rehmat ka hum par bhi saya. 

Abu Aarif 

Azam Shah

Bushra Butt

Hardev Sodhi Ashk

Kauser Saiyed

Meenakshi Jha

Mohammed Moinuddin Naithy

Pathan Firose Khan Aish

Qaiser Mehmood

Sajid Ali Behrani

Sarita Gupta

Steve Almas

Swaleh Atcha

Syed Naveed Anjum
 



||  urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
e-mail : webustaad@urdustan.com

Click Here!