Kasim Siddiqi
kssiddiq@bechtel.com
Houston, USA
Watan
kii raah maiN hum aaj markay dekhtay haiN
Ke zindagii maiN
chalo rang bharkay dekhtay haiN
Humhiiko humsay ladaaya
hai dushmanoN nay sadaa
IkaTThay dushmanoN
say aaj laDkay dekhtay haiN
Jahaan aur bhii hongay
to hoN sitaaroN say aagay
Isii jahaaN ko fatah
pehlay karkay dekhtay haiN
DiloN maiN logoN
kay ootraa nahiN haram kaisay
'Suna hai log oosay
aankh bharkay dekhtay haiN'
Nazaara kitna hai
'DILKASH' kisiikay girnay kaa
OoThaata koi nahiN
sirf muDkay dekhtay haiN