Ahmer Karimuddin
aakarimu@uwo.ca
London,
Ontario, Canada
agar aas ho
to yaasiat sai daikhtay hain
ishq-o-ulfat
ko chup kai door sai daikhtay hain
door sai hi
daikha hai, choo na paaye kabhi
us kai honay
pai imaan la kar daikhtay hain
suna hai ishq
ho to aashiq hi dikhta hai
khuda jaanay
woh kis nazar sai daikhtay hain
usay bhula
to nahin saktay hum kabhi
apnay dil
main usay chupa kai daikhtay hain
khudara ishq
kai gur hum qaabil ho jaayein
duniya waalay
kaisi nazron sai daikhtay hain
hum betaabi
main beqaraari main rahain
suna hai log
usay aankh bhar kai daikhtay hain