Urdustan > Mushaira > September 2000

 
Sh A  Shah Khan
khanjee35@hotmail.com
Karachi, Pakistan

Naseem-e-subh say goloN ki guftagoo hogi
kalee kay dil maiN bhi khilnay ki aarzoo hogi

Addab ki mang maiN afshaN sajhay gi urdu ki
gazal kay galoN pay surkhi mera lahoo hogi

meray lehjay maiN kissi piar ka komal pan hay
meray lafzoN maiN teray jism ki khushboo hogi

kamal-e-fun say pathroN ko sanam kar dala
ab har ik sung ko faqat mery justajoo ho gi

khan jis pal zamiN pay piar aam ho ja ay
kissi kay moonh main zubaN ho gi tow URDU ho gi

Ajaz Rashid Mughal

Azharul Haq Naseem

Kasim Siddiqi

Mohammad M. N. Shakeel

Sh A. Shah Khan

Yogesh Sethi



||  urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
e-mail : webustaad@urdustan.com

Click Here!