Azhar Ul Haq Naseem
azharulhaq@yahoo.com
Sharjah, UAE
Dunya-ay adab ki shaan Urdu hai
Nazm, nassar, ki dastaan Urdu hai
Jiss goshay main jaeen app dunya kay
Mayray watan ki pehchan Urdu hai
Kabhi kooee doooha hoo Aali ka
Yaa phir phuljhari hooo Zameer ki
Qita hooo Masaoood ka , ya shair Pareveen ka
Ya talwar hoo Josh ki tehreer ki
Shairee ka ik maan Urdu hai
Mayray watan ki pehchan Urdu hai
Mushtaq ki shogufta bayani hai Urdu
Ishfaq ki sanjeeda bayani hai Urdu
Kernal Khan ki shaytani hai Urdu
Ibn-e-Safi ki Kahani hai Urdu
Jazboo ka ik aasmaan Urdu hai
Mayray watan ki pehchan Urdu hai
Geet gatay rahay likhtay raheen Urdu main
Nasar main samjhatay raheen ham Urdu main
Apni mohabtoon ka bayan hamari zaban say hoo
Hanstay hansatay raheen hamm Urdu main
Kitni meethi mayri Zaban Urdu hai
Mayray watan ki pehchan Urdu hai |