Urdustan > Mushaira > October 2000
    
   S. Azam Shah Khan
   khanjee35@hotmail.com 
   Karachi, Pakistan

   mumkin ho kisi per tow aethemad kijiye 
   jo dil main hay dil khol kay irshad kijiye 

   aaseb uther aatay hain khali makan main 
   is dil ko kissi say sahi aabad kijiye 

   rahay junoon main aain gi purkhar wadian 
   rasm e vafa nahi hay kay faryad kijiye 

   ik zindagi thi kat gai umeed kay dar per 
   ab kia bacha hay kay jisay barbad kijiye 

   zar ki hawas nay jin say khuda tak bhula dia 
   main un say keh raha hoon mujhay yaad kijiye 

   daro rasan bhi gir gaey sayaad kay dar per 
   janay say pehlay khan ko aazad kijiye 
 

Ajaz Rashid Mughal

Amir Butt

Anis Khan

Arshia Siddiqui

Bushra Butt

Farrukh Abbas

Khatib Hamidi

Mansoor Aazmi

Mohammad Azam

Mohammed Moinuddin Naithy

S. Azam Shah Khan

Safiya Ali

Sana Rizvi

Swaleh Atcha

Syed Faisal Habib

Syed Naveed Anjum

Syed Mufti

Urooj Siddiqui

Vipul Khemka



||  urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
e-mail : webustaad@urdustan.com

Click Here!