urdustan > mushaira > result for November 1999

 
Tarahi Mushaira
in urdu script : click here
Misra was.. :
 
 Lamha Lamha wasl ka ghabra raha hai
šì Bìi AjJéŒ B· ½uË îZÀ» îZÀ»

All of you know our judges already but once again they are:

 -Aazim Kohli,India
 -Najam, Saudi Arabia
 -Nadia VA,  America
 -Sana Ali NJ, America
 
 
And this month's best entries!!

Anis Khan Lakhnawi 
anis_khan@hotmail.com
Favorite poet : Mirza Ghalib 
California, America
noor maathe par ufaq ke chhaa raha hai
lamha lamha wasl ka ghabra raha hai
bad-.gumaani hai usse kis baat par yooN
chaand jo itna wahaN itra raha hai
tha buhat betaab unki deed ko dil
mil gayi nazreN to yooN sharma raha hai
ja chuka hai bazm-e- mai se door phir bhi
kyuN hameN ab tak nazar woh aa raha hai?
waqt rukhsat ka qareeb aane laga jab
dil hamaara gham se Dooba ja raha hai
aane waala hai yahaN toofaaN koi
aaj mera dil buhat ghabra raha hai
hain buhat dushwaar tum bin din hamaare
"ab to aa ja, waqt-e-aakhit aa raha hai"
Aijaaz Rasheed Mughal 
ajaz@urdustan.com
Favorite poet : Mirza Ghalib 
Bahrain 
Dhoondhte rahe tujhe chashm-e-betaab ki tarah
tu mila bhi kabhi to saraab ki tarah 
lamha lamha wasl ka ghabra raha hai
dar hai kho na jaao, khawaab ki tarah
baad-e-saba tujh se takrha ke jo chale
mehak uthe faza taza gulaab ki tarah
waswase tere husn ne phailaaye shehar meN
kissi fitna gar hangaama-e- behajaab ki tarah
sikhaaye ishq ne ramooz-e-sukhan hameN magar 
kahaN woh sheeriN-e-kalaam janaab ki tarah
 Nazrul-hassan shaikh
nazrulhasan@yahoo.com
 Favorite poet: Hafeez jalendhri
Pune, India
saamne aane se kyuN ghabra raha hai
apni nadaani pe woh sharma raha hai
zindagi bhar ik mujhe khatka raha hai
kaise kah dooN dil mera tanha raha hai
jis ko main apna chuka tha pahle hi
mujhko kitni der se apna raha hai
chorh kar mujh ko har tareeki meN
kab mera saaya mera apna raha hai
"iss tarah ham aan mile hain saath, ke"
lamha lamha wasl ka ghabra raha hai
ishq meN se kar mujhe saada fareb
kitni chalaaki se woh bahla raha hai
"dil ka tukda tha, meri woh jaan tha" 
  jisko kho kar dil mera pachhta raha hai 
"jis pe main marta hoon dekho shaikh woh"
kis be rahmi se mujhe tarhpa raha hai
Aasif zaidi
ZAsif@aol.com
Favorite poet : Mirza Ghalib 
Edinburg
dil machalta hai jigar tarhpa raha hai
un se rishta iss qadar gahra raha hai
tum se milna zindagi ka azm tha
dil na jaane kyuN buhat ghabra raha hai
paani paani jism mera ho raha hai
lamha lamha wasl ka ghabra raha hai
kar na deN barbaad uss ke husn ko
phool bhi kaantoN meN yooN ghabra raha hai
chaandni meN uss ka jalwa dekh kar
chaand badli meN chhupa sharma raha hai
ik jhalak dikhla ke tum to chal diye
mudatoN aankhoN meN woh mukhrha raha hai
aik zamaana ho geya bichrhe hue
dard aasif ab talak tahra raha hai
Raj ji 
maha_raj@yahoo.com
favorite poet : gulzaar sahib 
Banglore, India
bekhudi ka ik nasha sa chha raha hai
lamha lamha wasl ka ghabra raha hai
saans bhi ehsaas bhi, bas meN nahiN ab
iss bhanwar meN dil to Dooba ja raha hai
aaj haasil ho gayi hai woh khushi
ishq jiski khawaahsheN karta raha hai
kis kashish ka shayeri meN zikar tha
aaj hamko bhi samajh meN aa raha hai
saamne jannat ke darwaaze khule
rab tera masroor banda aa raha hai
Umr bhar besabr the jiske  liye
aa mere aagosh main sharmaa rahaa hai. 
jis ne himmat ki, zamaane dekh le
aa ke uss ke chahre pe hi sahra raha hai
Steve Almaas
Aziz@escape.ca
favorite poet: Iqbal, Faraz, Faiz
Canada
aas ka sooraj bhi Dooba ja raha hai
lamha lamha wasl ka ghabra raha hai
soch ki andhi gali meN aaj phir
chaap qadmoN ki hai koi aa raha hai
raat ki zulfoN ke taaza paich-o-kHam
chupke chupke phir koi suljha raha hai
hijar ka guzra hua pichhla pehar
dard ban kar kyuN mujhe tarhpa raha hai
darhkanoN ke saaz par naghmay-e-dil
dheere dhreere aaj koi ga raha hai
jabr ke bujhte charaghoN ka dhunwaN
seene meN ab tak yuNhi bal kha raha hai
mere armaanoN ka alharh baankpan
mere khwaboN ka chaman mahka raha hai
hans ke mehfil meN zamaane ke liye
dard ka chahra chhupaaya ja raha hai
de ke phir almaas tanhaayi ka rog
qayeda-e-ishq woh samjha raha hai
Sajid Muneer
smkhalili@yahoo.com 
Favorite poet: faiz
U.A.E
ktini duaaoN ke baad woh aa raha hai
qismat ka taara bhi muskra raha hai
yah sab hai to phir aaj kyuN
lamha lamha wasl ka ghabra raha hai
|| urdustan ||
adeeb | anam | e-mail | messageboard | mushaira | u-hoo | about us
e-mail : webustaad@urdustan.com

Click Here!