urdustan.com
Urdustan > Tanz-o-mazaah

Kunwaara
by Faisal Khalid
Click here to read the poem in urdu


 
 

 

Doobte to tinke ka sahaara chaahiye
shaadi ke liye bas ammaN ka ik ishaara chaahiye

hazaar nuqs nikaalti hai har laRhki ke chahre meN
koi in se poochho! kya sitaara chaahiye?

chaar sooToN se baat nahiN bane gi
saath meN ik khhaTaara chaahiye

buhat samjhhaaya ke laRhki hai yahi bahtar
mujhe bhi to gunaahoN ka kafaara chaahiye

ammaN kahti hai lagaao kya maul lagaate ho
aur le jaao, agar laRhka hamaara chaahiye

har rate meN milt haiN kahiye kya lijiye ga
dulha, shaadi-shuda ya kunwaara chaahiye

payment kar ke kal ko tum bhi kah sako ge
ab to hameN damaad hamaara saara chaahiye

tum bhi sun lo ai laRhki waalo yah daastaaN
phir na kahna hameN interview dobaara chaahiye

ab to raah guzar meN aa ke paRh geya hooN
le chalo jis ko yah bechaara chaahiye

kyuN dikhaayi larhki waaloN ko itni sharaafat faisal
woh kahte haiN ke hameN larhka thorha awaara chaahiye

 



|| urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
messageboard | mazameen | nuqta | awaaz | tanz-o-mazaah | whats new?
webustaad

Click Here!