bakaavali ki talaash
Pandit Daya Shankar Naseem
urdustan.com
  uurdustan >> anam >> 2001 >> January 
you can read this nazm in Urdu Script 
This nazm is taken from a long masnavi gulzaar-e-naseem. This is considered one of the best Urdu masnavi of all times.

gul ka jo alam chaman chaman hai
gulcheeN ne wo phool jab urhaya
wo sabza-e-baag kHwaab aaram
jaagi murgH-e-sahar ke gHul se
munh dhone jo aankh malti aayi
dekha to wo gul hava hua hai
ghabraayi ke haiN kidhar gaya gul
hai hai mera phool le gaya kaun
haath uss pe agar parha nahi hai
nargis to dikha kidhar gaya gul
sunbul mera taaziyana lana
apnoN meN se phool le gaya kaun
shabnam ke siva churaane wala
jiss kaf meN wo gul ho daagH ho jaaye
gucheeN ka jo haaye haath TooTa
O kHaar parha na tera changul
O baad-e-saba hua na batla
bulbul tu chahak agar kHabar hai
yuN bulbul khama na'ara zan hai
aur gHuncha-e-subh khil khilaya
yaani wo bakaavali gul andaam
uThi nikhat si farsh-e-gul se
pur aab wo chashm-e-hauz paayi
kuchh aur hi gul khila hua hai
jhunjhlaayi ke kaun de gaya jul
hai hai mujhe khaar de gaya kaun
boo ho ke to phool urha nahi hai
sosan tu bata kidhar gaya gul
shamshaad inhe sooli pe charhana
begana tha sabze ke siva kaun
upar ka tha kaun aane wala
jiss ghar meN ho gul chiraagh ho jaaye
gHunche ke bhi munh se kuchh na phooTa
mashkeN kass liN na tu ne sunbul
kHush kHabri hi sungha pata na batla
gul tu hi mahak bata kidhar hai


|| urdustan ||
adeeb | anam | e-mail | mazameen | mushaira | u-hoo | about us
e-mail : kashif@urdustan.com