|
urdustan.com
urdustan.com
|
|
| urdustan > anam > 2000 > March |
|
|
by Abdul Hameed Adam
|
pahle
pahle un ko yooNhi dekhta rahta tha maiN
baat to koi nahiN thi dekhta rahta tha main dekhte
rahne se mere woh buhat masroor the
unko
khush karne ki khaatir aah bhar leta tha maiN
baagh
meN har roz taqreebann khainch aate the woh
woh
samajhte the ke unke roop par marta hooN maiN!
mudda
iss khail ka kya tha faqat ik dil lagi
kar
ke khush fahmi meN un ko mubtla hansta tha maiN
ab
magar tafreeh-o-khush waqti ki soorat aur hai
jab
nazar aati nahiN gulzaar meN unki jhhalak
un
ko diwaana bana kar mujh ko wahshat ho gayi
|
|
adeeb | anam | e-mail | messageboard | mushaira | u-hoo | about us e-mail : kashif@urdustan.com |