urdustan.com
Tum
By Anand Narayan Mulla
you can read this nazm in Urdu script  : click here

sahar ki yaad ho tum aur kheyaal-e-shaam ho tum
jo ban geya hai mera jazw-e-lab woh naam ho tum
 
 
Tumhe kehyaal ki ra'anaaiyoN meN dekha hai
tumhe ummeed ki tanhaaiyoN meN dekha hai
tumhiN to roop ki gahraaiyoN meN dekha hai
jidhar bhi aankh uthaayi hai farogh-e-baam ho tum

Sahar ki yaad ho tum aur kheyaal-e-shaam ho tum
jo ban geya hai mera jazw-e-lab woh naam ho tum
 

har ik ummeed ka meri tumhi ho gahwaara

tumhiN ho jaise har ik dard ka mere chaara
tumhiN pe aa ke tahrati hai chashm-e-awaara
har ibtadaay-e-tamanna ka ikhtetaam ho tum

 Sahar ki yaad ho tum aur kheyaal-e-shaam ho tum
jo ban geya hai mera jazw-e-lab woh naam ho tum

MaiN kaun ik gul-e-afsurda-o-dil-e-nashaad
tum ik chaman ki zeenat tum ik chaman ki muraad
kahaN tum aur kahaN mujh sa zindagi barbaad
mere naseeb ki jis meN nahiN woh jaam ho tum

 Sahar ki yaad ho tum aur kheyaal-e-shaam ho tum
jo ban geya hai mera jazw-e-lab woh naam ho tum
 
 

ufaq hayaat ka phir bhi tumhiN se hai zareeN
har ik khawaab-e-tassavur tumhiN se hai rangeeN
tumhaari simt hai dil ki nigaah baaz paseeN
andheri zeest ki ik zar nagaar shaam ho tum

Sahar ki yaad ho tum aur kheyaal-e-shaam ho tum
jo ban geya hai mera jazw-e-lab woh naam ho tum
 
 

karooN maiN arz-e-tamanna meri majaal nahiN
sawaal dil meN hai aur jurrat-e-sawaal nahiN
tumhaari yaad se ghaafil magar kheyaal nahiN
maiN kuchh kahooN na kahooN hsaail-e-kalaam ho tum
Sahar ki yaad ho tum aur kheyaal-e-shaam ho tum
jo ban geya hai mera jazw-e-lab woh naam ho tum
 
 
khamoshiyoN meN hai damsaaz kaun tum jo nahiN
nazar nazar ka meri raaz kaun tum jo nahiN
nafas nafas ki hai awaaz kaun tum jo nahiN
peyaam bar hooN agar maiN mera peyaam ho tum

 
 Sahar ki yaad ho tum aur kheyaal-e-shaam ho tum
jo ban geya hai mera jazw-e-lab woh naam ho tum
 
 
kissi nigaah ka jo dil ghulaam ho na saka
jo sar kissi ki chhokhat pe aaj tak na jhhuka
tumhaare dar pe wohi aaj hai jabeeN-farsa
to kya jahaaN ka mulla se inteqaam ho tum

 
 Sahar ki yaad ho tum aur kheyaal-e-shaam ho tum
jo ban geya hai mera jazw-e-lab woh naam ho tum


 
Kashif@urdustan.com·