jahaaN kHoon-e-jigar
peete rahe ahl-e-hunar barsoN
jahaaN ghista
raha rangoN meN aahoN ka asar barsoN
jahaaN khichta
raha patthar pe aks-e-kHair-o-shar barsoN
jahaaN nagHme
janam leteN haiN rangini barasti hai
dakan ki goad
meN aabad wo kHwaaboN ki basti hai
sharaab-o-sher
ki taaseer hai ThanDi hawaaoN meN
bahaar-e-zindagi
gHaltaaN hai sabze ki adaaoN meN
nawaa-e-sarmadi
raqsaaN hai jharnoN ki sadaaoN meN
bayaaN mumkin
nahiN wo lutf aata ahi duaaoN meN
yahaaN sadiyoN
se raayej parsakooN sheereeN muqaali hai
yahaaN ka zarra
zarra mazhar-e-shaan-e-jalaali hai
tajalli zaar-e-irfaaN
, shaahkaar-e-ibn aadam hai
sar fitrat, aml
ki baargaah-e-husn meN kHam hai
tamaddun man'aks
ho jis meN aisa sagHar-e-jam hai
jamaa-e-zindagi
raheen-e-jalaal-e-azam gautam hai
umeed-e-jaan-e-taaza
phir dil-e-bismil meN aayi hai
talaash-e-aman
meN tahzeeb is manzil meN aayi hai
kahiN paida hai
saari kaifiyat sahan-e-gulistan ki
kahiN raunaq
nazar aati hai bazaar-o-shabistaN ki
kahiN hairat
, zabaan haal hai, haal-e-pareshaaN ki
lakeereN haiN
ke sharyaaneN dil-e-insaan-o-haiwaaN ki
kahiN zulmat
ke peechhe raushani mahsoos hoti hai
kahiN kHud maut
meN bhi zindagi mahsoos hoti hai
hareef-e-nagHma
jaaN-bakHsh ye kHaamosh goyaaee
kamaal-e-fikr-o-fan,
husn-e-tanaasub, shaan-e-zebaaee
haqeeqat ban
gayi jazbaat ki sad rang ra'anaee
laboN par safu-gan
hai noor aijaaz-e-maseehaee
nigaahoN meN
ajab andaaz hai kHara-gudaazi ka
diloN par naqsh
rah jata hai jin ki be niyaazi ka
karishma hai ye
arbaab-e-hamam ki sayi paiham ka
jinheN ahsaas
bhi hota na tha kuchh shaadi-o-gHam ka
diloN par aks
kheench aaya tha jin ke husn-e-aalam ka
qalam ko naqsh
azbar ho gaya tha asm-e-aazam ka
chaTTaanoN par
shabaab-o-husn ki maujeN rawaaN kar deN
fasooN kaaroN
ne rangoN meN mutaqeed bijliyaaN kar deN
hareem-e-ka'ba-e-fan,
ma'abad-e-nazuk kHayalaaN hai
jahaan-e-noor-o-nik-hat,
miskeen-e-aashufta halaaN hai
janooN afshaaN
faza meN masti-e-chashm-e-gHazaalaaN hai
lab joo-e-kahastaaN
jalwaa-gaah-e-kHush jamalaaN hai
mila hai zindagi
ko baankpan inn kuj kalaahoN se
nazar waaloN
pe shamsheereN barasti haiN nigaahoN se
jigar ke kHoon
se kheenche gaye haiN naqsh lasaani
tasadduq jin
ke har kHat par tahayyur kHana-e-maani
mushkil hai shabaab-o-husn
meN takHayyul-e-insaani
taqaddus ke sahaare
ji raha hai zauq-e-uryaani
haseenaan-e-ajanta
ka jahoN sartaaj hai goya
yahaaN jazbaat
ke maraaki meraaj hai goya
hunar mandoN ne
tasveeroN meN goya jaan bhar di hai
taraazo dil meN
ho jaati hai wo kaafir nazar di hai
adaaoN se ayaaN
hai lazzat-e-dard-e-jigar di hai
khileNge raaz
is Dar se dahan par muhar kar di hai
ye tasveereN
bazaahir saakat-o-kHaamosh rahti haiN
magar ahal-e-nazar
poochheN to dil ki baat kahti haiN
gulistaaN se jo
guzara qaafila fasal-e-bahaari ka
bahana mil gaya
ahl-e-junooN ko husn kaari ka
chaTTanoN par
banaya naqsh dil ki beqaraari ka
sikhaya gur usse
jazbaat ki aayina daari ka
amanat seena-e-kuhsaar
meN ik daastaaN rakh di
jigar daaroN
ne buniyaad-e-jahaan-e-javedaaN rakh di
jahaaN chhoRha
kHushi se javdaaN paigHam ki kHaatir
saf aara the
shikast-e-gardish-e-ayaam ki kHaatir
jhukaya sar na
apna shohrat-o-ina'am ki kHaatir
jiye bhi kaam
ki kHaatir mare bhi kaam ki kHaatir
zamaane ki jabeeN
par aks chhoRhe haiN nigaahoN ke
raheNge naqsh
in ke, naam miT jaayeNge shaahoN ke