|
|
zarroN!
ap-nay soz-e-daruN say chamko aur kHursheed bano
[ zarra= particle; soz-e-daruN= the fire within]
qatroN!
ap-nay azam-e-jawaaN say phailo aur tufaan bano
[ qatra= a drop, azam-e-jawaan= strong determination]
zarroN! qatroN!
aik naye mazmoon ki ab tamheed bano
[ mazmoon= an article/ chapter; tamheed= introduction/preface of article
or book]
zarroN! qatroN!
aik nayi mehfil ka ab saamaan bano
zarra murda kHak nahiN hai, is maiN ab kuchH aur bhi hai
ilm nay ab yeH faash kiya hai [ilm= science/study; faash= revealed]
zaara quwwat ka paikar hai [quwwat= power/energy; paikar=
visage]
duniya nay ab jaan liya hai
zarra taaqat ka mazhar hai [ mazhar= one who shows]
aik jahaN maiN shor bapaa hai
barq ka zar-ray maiN unsoor hai
[ barq= electric; unsoor= element (plural= anaasir)]
zarra murda kHaak nahiN hai, is may ab kuchh aur bhi hai
mahaz fasurda kHaak nahiN hai, is may ab kuchh aur bhi hai
[fasurda= rotten]
qatra zaahir maiN be-rang hai, baatin maiN be-aab nahiN
[ zaahir= visible; baatin= hidden/internal;
aab= water (here it may mean sparks, juice)
qatra, jab cha-hay garduN per [ garduN= universe]
baadal ban ker chha sakta hai
nanha sa pani ka yeH paikar
toofaN ban kar aa sakta hai
olaa ban jaye to aksar [ olaa= hail]
buniyaadoN ko Dha sakta hai [ Dha= destroy]
qatra zaahir maiN be-rang hai, baatin maiN be-aab nahiN
haaN ye faqat ik qatra hai, jee-nay ko agar betab nahin
[ faqat= only]
nagasaaki par jo gira tha, woH kya tha? -ik zarra
tha!
[ nagasaki= second city to be atomic bombed]
aaj jo toofaN ik 'kHatra' hai, kal yeH faqat ik qatra
tha!
besood-o-kamzor naH jaano [ besood = useless]
apni hasti ko pahchaano
zarroN!
ap-nay soz-e-daruN say chamko aur kHursheed bano
qatroN!
ap-nay azm-e-jawaN say phailo aur toofan bano
zarroN! qatroN!
aik naye mazmoon ki ab tamheed bano
zarroN! qatroN!
aik nayi mehfil ka ab saamaan bano