|
|
|
|
"dard-e-dil likhooN kab tak, jaaooN unn ko
dikhla dooN
uNgliyaaN figaar apni, kHamaah kHooN-chakaaN
apna"
{ sher corrected by U. V. Ravindra}
[ figaar= injured; kHamaah= pen; kHooN-chakaaN= blood
dripping]
which suggests that he is in fact a serious poet and his poems like Akbar Allhabadi gave a true picture of our society. ---- kashif
hai! yeH qatal keH jiss maiN koi mulzim na wakeel
[ mulzim= accused]
na adaalat, na wakaalat, na zamaanat, na apeal
[wakaalat= legal, zamaanat= bond]
eiN cheH zulm ast keH baadeeda-e-tarmi beenam
taigH-e-qaatil hamaaH bar gardan-e-kHarmi beenam
kHar bhi ab jaNg ko taiyyaar nazar aa-tay haiN[
kHar= donkey]
aalmi jaNg kay aasar nazar aa-tay haiN [ aalmi
jaNg= world war]
iss say pah-lay kay bhaRhak uTheiN gadhoN kay jazbaat[
jazbaat= sentiments]
kHar-e-maqtool kay ba-ray maiN yeH ho tahqiqaat
[ kHar-e-maqtool= killed donkey; tahqiqaat=
enquiry]
yeH gadha kaun tha, kis mulk ka bashinda tha?
[ bashinda= citizen]
kya kisi kHaas jamaat ka numainda tha?
[ jamaat= party; numainda = representative]
qatal say pah-lay kis baat peH sharminda tha?
[ sharminda= ashamed]
kya saboot iska keH woH murdaaH tha ya zinda tha?
[ saboot= evidence]
{ sher corrected by Steve Almas}
bahar-e-taqreer kabhi us-nay zabaaN kholi thi?
aur kholi thi to urdu to nahin boli thi?
[ bahar-e-taqreer= for speech]
ab say pah-lay woH parastaar-e-wafa tha keH nahiN?
yeH jawaaN marg hamesha say gadha tha keH nahiN?
[ parastaar-e-wafa= faithful slave; jawaaN
marg= died young]
yeH bhi maloom kiya jaaye ba-tahqeeq-e-tamaam
kis liye qatal hua hai yeH kHar-e-gul andaam
[ ba-tahqeeq-e-tamaan= with a complete enquiry;
kHar-e-gul andaam= donkey with a body like
flower]
kahiN yeH qatal siyasat ka natija to nahiN? [
siyasat= politics]
mar-nay waala kisi leader ka bhatija to nahiN?[
bhatija= nephew]
kahiN iss qatal kay pichhe koi saazish to nahiN? [
saazish= conspiracy]
kahiN yeH bhi kammunistoN ki nawaazish to nahiN?
[ kammunistoN= communists' ; nawaazish= kindness]
kahiN iss qatal kay pichhe koi rumaan na ho?
[ rumaan= romance]
kahiN yeH qatal kisi nazm ka unwaan na ho?
[ unwaan= title]
kahiN bimaar-e-gHam-e-dil to nahiN tha yeH gadha?
kahiN kHud apna hi qaatil to nahiN tha yeH gadha?[
qaatil= murderer]
mujh ko Dar hai yeH gadha haq ka parastaar na ho [
haq= truth]
zauq kay daur maiN gHaalib ka tarafdaar na ho
agar aisa hai to iss qatal peH afsos hi kya
mar-nay wala bhi gadha, maar-nay wala bhi gadha
haN magar gHam hai to iss ka keH jawaN th-ay mausoof
sirf ik kHar hi nahiN, fakHar-e-kHaraaN th-ay mausoof
[ mausoof= one being desribed; fakHar-e-kHaraaN=
the pride of the donkeys]
Links to laugh ...
Mazahiya mushaira
: by Irfan Moinudduin
mazahiya shayari : by Nita
India humor page : by Rajiv
Pant Betul