baRhey chalo- baRhey chalo
yahi nidaa-e-waqt hai [ nida= call
]
yeH kaaynaat [ kaaynaat= universe ]
yeH zamiN
nizam-e-shams ka nagiN [ nizam-e- shams = solar
system, nagiN= jewel ]
yeH kahkashaaN saa rastaa [ kahkashaaN= galaxy]
issi peH gaamzan raho [ gaamzan = keep walking
]
yeH teeragi to aarzi hai, mat Daro [ teergi=
darkness, aarzi= temporary]
yahaaN sey door, kuchh parey peH subah ka muqaam hai
salaa-e-bazm-e-aam hai
qadam qadam peH iss qadar rukawaTeiN keH al-amaaN
magar ajeeb shaan sey yeH karwaaN rawaaN rawaaN
[ rawaaN= keep moving]
chala hi jaayega parey [ parey= crossing the barrier]
ufaq sey bhi parey kahiN
tumharey naqsh-e-paa meiN zindagi ka raNg
haNs rahaa hai taakeH pichhey
aaney waaloN ko pataa yeH chal sakey
keH iss taraf sey aik karwaaN guzar chuka hai kal
aur apney jism-o-jaaN ko waqf kar chuka hai kal
baRhey chalo- baRhey chalo