anam I bazm I kHazana I kashif

    Aman ka aakHri din
    [ the last day of the peace]
     
    ibn-e-insha
     
            The nazm for this month is in reponse to the nuclear testing by both India and Pakistan. Some saner voices are being heard when the loud noise of the bomb has slowed down, we only hope that better sense will prevail on the people who are in the government.
        The nazm is by Ibn-e-Insha who was born in Jallandhar in 1925 and died in London.
     
    aaj kuyN shaam ke akHbaar ki har surkHi meiN, [surkhi=headlines]
    aik-aik lafz bun-ay jataa hai uljhay hu-ay jaal.  [lafz=words]
    waswas-ay umRhay chalay aatay haiN baadal baadal,
    kulbulatay haiN paRhay zahan ke goshoN meiN khayal.
    [zahan=mind, gosha=corner]
    ab to har satar sey aaney lagi barud ki boo [satar=direction]
    ab to har saf sey bekhaT-kay guzrana hai muhaal.
    [saf=line, muhaal=difficult]

    bahr-e-shabkHoon baRhay aa-tay haiN yaadoN ke hujoom
    [bahr-e-shabkHooN= to kill in night, hujoom=crowd]
    dekheiN kya haal ba-nay subah ke ho-tay ho-tay
    itni sochay haiN keH pah-lay kabhi sochi hi naH thi
    itney cheh-ray haiN ki pah-lay kabhi de-khay hi naH thay [cheh-ray= faces]
    ab to kaabus ki surat hai rag-o-pai yeH muheet
    [kaabus= a sleeping disorder, muheet=to enclose]
    shaam tak woH jo sabhi naqsh thay dhuNd-lay dhuNd-lay

    alif aandhi hai keH magHrib sey uTha chahati hai
    alif ummid charagH-e-tah-e-damaaN hai abhi
    [tah-e-damaaN= underneath the cloth]
    alif aTom hai ba-aagHosh hazaraan aashob [aashob=terror, storm] 
    alif aadam keH ba-gHam chaak garebaaN hai abhi
    alif ik aman keH jaaN di thi, to payaa tha ussey
    alif ik ashk keH mizgaaN peH farozaaN hai abhi. [mizgaaN=eye-lids]

    bay woH bandooq ki ik roz kahiN sar hogi
    bay woH bumbaaroN ka jhurmuT hai keH baRhta aaye
    kabhi dahkaaN kay gharoN-day peH, to kHarman peH kabhi
    [dahkaaN=famers, kHarman=famlands]
    be-amaaN barq ka kaunda hi paRha lahrai [barq=lightning, kaunda=spark]
    qarye-qarye sey lapakati hui laTeiN uTThi [qarye=villages]
    basti basti ko shararoN sey jhulsata jaaye [shara-ray= sparks of fire]

    pay hai 'pension' keH sipaahi ko shujaa't ke aiwaz [shuja=brave]
    aik pahloo meiN Thumakti si baisakhi day jaaye [baisakhi=crutch]
    pay woH 'palTan' hai keH aRhkar sar-e-maidaaN pahunchi
    pay woH 'pyaa-day' haiN keH maidaaN say naH waapis aayeiN
    tay woH 'tamgHaa' hai keH barsoN ki riyaazat say mi-lay [riyaaz=practice]
    aur kisi laash ki chhati peH chamakta rah jaaye

    Tay kissi baagH-e-jawaani ki lachakti 'Tahni' [Tahni=branch]
    bum kay uRhtey hu-ay TukRhoN say hai paraa-paraa
    buRhay maaN-baap ki barsoN ki duaaoN ka samar [samar=fruit]
    say kissi ajnabi maidaaN meiN dam toRh gayaa
    lauT-tay qadmoN say gunjegi naH ghar ki dahleez 
    aapka lakHt-e-jigar mulk peH qurbaan huaa
    [lakHt-e-jigar= a piece of heart]

    jeem woH 'jaNg' ka bazaar hai jissmeiN jaakar
    itni sadiyooN meiN bhi insaan ki qimat naH baRhi
    chay woH 'chaaNdi' hai, woH chaandi kay chamaktay sikkay
    jiss-say duniya ki  har aik cheez kHaridee naH gayi
    phir bhi har bees baras baad wahi sauday haiN
    woH hi taajir haiN, wahi jins hai, qimat bhi wahi
    [taajir=traders, jins=goods]

    hay 'hikayat' hai keH hoThoN peH adhoori rah jaaye [hikayat=story]
    hay woH 'hasrat' hai keH seenay ko bana lay madfan [madfan=grave]
    kHay 'kHayalaat' ka relaa hai keH yaksar ruk jaaye
    dab keH rah jaayeiN jo 'kHandak' kay 'kHalaaoN' meiN  badan
    [kHandak=trenches, kHalaa=space]
    Taink kar deNgay har ik Dhair ko aakar humwaar
    [Taink =tank, humwaar=plain]
    bay-nishaaN qabroN peH ug aayeNgay do saal meiN ban
    [bay-nishaaN=nameless, qabroN=graves, ban=jungle]

    daal hai ' dard' say labrez 'diloN' ki dharti [labrez=filled]
    Daal hai 'Dolta' seena kabhi 'Dhalka' aaNsoo
    zaal hai 'zikr' kissi dost ka woH
    haai kin rafta-bahaaroN kay guloN ki kHushboo [rafta=past, bahaar=spring]
    aaj laashoN kay ta-af-foon meiN dabi jaati hai [ta-af-foon= foul smell]
    sard saNgeenoN kay zakHmoN say ubalata hai lahoo

    ray wahi 'rail' ki  seeTi, wahi 'ranaa' chehraa [ranaa=happy]
    ray wahi 'raat', wahi uss-kay bhayanak sapnay [bhayanak=scary]
    chauNk-kar kaun yeH bistar say yakayak uTTha
    "meray bachchay ko kHudawand salaamat rakhay" [kHudawand=God]
    aik tara kahiN TooTa tha, kahiN Doob gaya
    Dakiya aayega do roz meiN ik taar liy-ay [Dakiya=post man]

    zay hai woH 'zahar' ki phir roohh meiN ghool jaayega [rooh=soul]
    zay hai woH 'zakHm' ki lataa hai kHabar dil tak ki [zakHm=wound]
    ab bhi basti meiN baRh-ay peer ka mela hoga [peer=sage, mela=fair]
    lah-lahatay huay khetoN meiN bahaar aayegi
    par naH inn raahoN say lauTega woH bansi-walaa
    ab charaa-gaaH meiN gunjegi naH taaneiN usski [charagaah-grazing land]

    seen 'sehra' kisi dulhay ka, kisi 'sej' keH phool
    seen jaltaa huaa 'seesa' kisi 'saNgeen' ki dhaar [seesa=lead, saNgeen=sharp]
    seen 'saahir' haiN siyasat kay ghar meiN baiTh-ay [saahir=magician]
    apnay zaanoN peH liye subah kay saaray akHbaar [zaana=lap]
    socha kartay haiN yeH paRhtay huay tazaa khabreiN
    rooi keH bhaaw meiN hota hai chaRhaw ya keH utaar [bhaaw=rate]

    apnay iss shahar say haiN door woH maidaaN jin meiN
    sheen 'sholaa' hai keH barood ka seena chaTay
    kisi masjid ka minaraa, kisi iskool ki chhat [iskool=school, chhat=roof]
    ik dhamakay meiN sulagta hua malbaa ban jaaye [malbaa=rubble]
    koi kheti, koi karkHana, koi pul, koi rail,
    aik duniya hai keH barsoN meiN banaye naH ban-ay

    swaad woH 'subah' ki har zahan meiN pihnaai meiN [pihnaai=expanse]
    laa keH bo deti hai nadeeda saliboN ki qataar
    [nadeeda=invisible, qataar=line]
    zwaad kHabroN kay 'zameemoN' ka woH ugala huaa zahar [zameem=collection]
    jis-say kuchh aur hi baRh jataa hai wahshat ka fashaar
    [wahshat=  savagery, fashaar= summary]
    nach-nay lag-tay haiN betaabi say fahar-e-sutooN kay naam
    aaNkheiN ban jaati haiN rok-ay huay ashkoN kay mazaar
    [ashk= tears, mazaar= tomb]

    tora 'taabrooq' ka sehra hai, jahaaN say ab bhi [sehra= forest]
    ap-nay gumgushta azeezoN ki sadaa aati hai
    [gumgushta=lost, azeez=dear ones, sadaa= cry]
    iss jagah fatah ki kHabreiN haiN, naH jal-say, naH juloos [fatah=victory]
    aik sarsar hai woH sarsar, jo guzar jaati hai [sarsar= wind]
    ist-kHwaanoN say bhalaa kissko muhabbat hogi [ist-kHwaan=tolerance]
    yaaN koi dost, naH humdum, naH mulaqaati hai

    zo 'zulmaat' ka dariya hai keH tufanbadosh
    [zulmaat= darkness, tufaanbadosh= in the storm]
    aas ki nanhi-si kashti ko Dubo-nay aaye
    [aas= hope, nanhi=little, kashti=boat]
    aur jab 'zulm' ki miyaad kay din aur baRheiN [miyaad= time period]
    ain woH ishrat-e-farda hai keH 'anqa' ho jaaye
    gHain woH 'gHam' hai keH janaaN say, naH doraaN say hai kHaas
    dil magar usski kasak say naH saNbhal-nay paye

    fay hai woH 'fatah' keH kuchh lay to gayi, day naH saki
    fay hai 'farda' keH chhala-way ka chhalawa hi rahaa [farda=tomorrow]
    qaaf  'qarya' hai keH itna bhi naH viraaN tha kabhi
    [qarya=village, viraan=deserted ]
    ab naH chulhoN say dhuaaN uTTh-ta hai neela neela
    aur naH woH khait, naH woH fasleiN, naH woH rakh-walay[fasaleiN=crops]
    ik ik gaaoN kay chaupaal meiN ullu bola [ullu= owl]

    kaaf nainoN kay 'kamal', kaaf 'kitaabi' chehraa
    kaaf 'kakul' hai keH kHushbu meiN basi rahti thi [kakul= hair]
    aur jab door kay desoN say sipahi aaye
    kaf 'kargas' nay khu-lay khait yeH baazi jeeti [kargas= eagle]
    koriyaa kit-nay kHaraboN ka pataH deta hai [koriyaa= Korea, kHaraab=ruins]
    yeH jagah shahar thi, yeH gaaoN tha, yeH basti thi

    gaaf gaati hui 'goli' hai keH 'gun' say nik-lay
    kisi 'gumnaam' sipahi ka nishaana bandh-ay
    aik saaya kisi khai meiN taRhap-ta rah jaaye
    apni barsoN ki  tamannaoN ko see-nay meiN liye
    gaaf 'gabroo' hai keH baaees baharoN meiN pa-lay [gabroo= youth]
    laam 'laash' hai keH do roz kay andar saRh jaaye [laash= corpse]

    meem 'mahboob' ka aagHosh bhi hai, 'maut' bhi hai
    aik hi waqt meiN mumkin nahiN donoN say nibhao
    noo 'nadi' ka madhur 'nagHma' bhi hai, 'napalm' bhi hai
    ab is-ay dost banaao keH us-ay dost banaao
    zeest aur maut meiN mushkil nahiN janibdaari [zeest= life]
    seedhi baatoN ko daleeloN kay labaa-day pahnaao
    [daleel= argument, labaada= cloth]

    waaw hai 'waqt' keH haathoN say hai niklaa jaata
    'wah-may' detaiN haiN aakar dar-e-dil par dastak [waham= suspicion]
    faakHta kitni bhi taiyaar-o-subak-ser sahi
    [faakHta=bird, taiyaar-o-subak-ser= fast flying]
    saikRhoN kos haiN bumbaar ki raftaar talak [raftaar= speed]
    aman kay geet ki lai taiz karo, taiz karo
    sahil-e-door say aa-nay lagi topoN ki dhamak [saahil= beach]

    h-ay woH 'heero' haiN keH phir nik-lay haiN chhail-ay ban kay
    basti basti ko 'hiroshima' bana-nay kay liye
    y-ay woH 'yaadeiN' haiN keH dundh-lai, naH miT-nay paaye
    aur hum jaNg ki dahleez peH phir aa nik-leiN
    y-ay woH 'yusuf' keH kHuda ko bhi naH soNp-ay jaayeiN
    phir unhi  ajnabi maidaanoN ka rastaa leN-gay

    aasmaN teera-o-taariq hai, taa-ray magHmoom
    [teera-o-taariq= darkness and blurred, magHmoom= sad]
    chaNd badal say nikal-tay hu-ay ghabrataa hai
    shamaa-e-ummid ki lau kaaNp rahi hai kab say
    [shamaa-e-ummid= candle of hope, lau= flame]
    dil dhuaaN-dhaar  ghaTaaoN meiN dabaa jaata hai
    lo, kisi door kay girjaa meiN woH ghaRhiyaal bajaa
    [girjaa= church, ghaRhiyaal= chiming bells]
    kafilaa subah ka aata hai, kahaaN jaata hai?
      



    Resources on Ibne-Insha :
    by Nita
    aik nazm by Insha : Saleem sahib.

    Resources on the Nuclear issue :
    South Asians against the Nuclear testing  : good articles.

    article on Outlook India magazine : if N-bomb is dropped in Delhi

    nuclear energy institute :

    some more nuclear links :
       


    anam I bazm I kHazana I kashif