Tuloo-e-Islam
[ The Rise of Islam ]
On the ocassion of Ramzan
[ it is a very holy month for the Muslims]
a very long and beautiful nazm by who else but Allama Iqbal. Iqbal is considered
one of the best when it comes to the philosphical poetry.
In this nazm, he list the qualities of
Islam and reasons for his thinking of the rise of Islam and
why he think that Islam is the only hope for the humanity.
As you can see it is a very long nazm , i have tried
to write the meaning of the difficult Urdu words, but was not able to finish
in time. I will finish the meaning as soon as i could.
daleel-e-subah-e roshan hai sitaro ki tanak taabi
ufaq sey aaftab ubhraa, gayaa daur-e-giraaN kHwaabi!
[daleel-e-subah-e-roshan= proof of the morning
light; tanak taabi = dim light;
ufaq= horizon; daur-e-giraaN kHwaabi=the age of
deep sleep]
urooq-e-murdaH-e-mashriq meiN kHoon-e-zindagi dauRha
samajh saktey nahiN iss raaz ko senaa-wa-faraabi!
[ urroq= veins; murdaH-e-mashriq= dead body of the East
senaa and faraabi= these are the names]
musalmaaN ko musalmaaN kar diyaa tufaan-e-magHrib ney
talaatum haay dariya hi sey hai gauhar ki sairaabi
[magHrib=the West; talaatum=waves;
gauhar= pearl; sairaabi=wet or formation]
ataa momin ko phir dargaah-e-haq sey honay walaa hai
shikoh-e-turkmaani, zahan hindi, nataq aaraabi
[ataa=to be provided; momin=faithful or Muslim shikoh-e-turkmaani=Turkish
grandeur;
zahan hindi=Indian wisdom; nataq aarabi=Arabic power of speech]
asar kuchh khwaab ka gHunchoN meiN baaqi hai to ai bulbul
"nava ra talkH tarmi zan cho zauq-e-nagHmah kamyaabi"
[]
taRhap sahan-e-chaman meiN, aashiyaN meiN, shakHsaaroN
meiN
judaa parey sey ho sakti nahiN taqdir-e-simaabi
[ shaakHsaar=garden; paaraH=a piece; taqdir-e-simaabi=fate of the piece]
woh chashm-e-paak bieN kuyN zeenat-e-bargastwaaN dekhiye
nazar aati hai jiss ko mard-e-gHaazi ki jigartaabi!
[zeenat-e-bargastwaaN=beauty of small plants;
mard-e-gHaazi=brave man; jigartaabi=love of dying]
zameer-e-lalah meiN roshan chiraagH-e-aarzoo
kar dey
chaman ke zarrey zarrey ko shaheed-e-justaju
kar dey
[zameer=conscience; lalah=tulip; aarzoo=desire
shaheed-e-justaju=quest for the martyrs]
sarshak-e-chashm-e-muslim meiN hai neisaaN ka asar paidaa
kHaleelullah ke daria meiN hoNgey phir guhar paida
[ sarshak=tears; neisaaN=a rainy month of the ancient Egyptian calendar
kHaleelullah=friend of Allah, Hazrat Ibrahim]
kitaab-e-millat-e-bezaa ki phir shiraazaH bandi hai
yeh shaakH-e-haashmi karney ko hai phir barg-o-bar paida!
[kitaab-e-millat-bezaa=blank book of the community; shiraazaH bandi=binding
or systematize
shaakH-e-haashmi=family of the Prophet Muhammad (saaw); barg-o-bar=leaves
and fruits]
rabudaaN tark shiraazi dil-e-tabrez wa kabul ra
sabaa karti hai boo-e-gul sey apna humsafar paida!
[ boo-e-gul= fragrance of the flowers]
agar usmaaniyoN par koh-e-gHum TuTaa to kyaa gHum hai
keH kHoon-e-sad hazaar anjum sey hoti hai sahar paida!
[ usmaani= people of Ottomon empire, Turkish, koh-e-gHum=mountain
of sorrows
sad=hundred; anjum=stars; sahar=morning]
jahaanbaani sey hai dushwaar-tar kar-e-jahaaN beeni
jigar kHooN ho to chashm-e-dil meiN hoti hai nazar paida!
[ jahaanbaani=kingship; dushwaar=difficult; kar-e-jahaaN beeni=to work
with experience
kHooN=blood; chashm-e-dil=eye of the heart ]
hazaaroN saal nargis apni be-noori
peH roti hai
baRhi mushkil sey hota hai chaman
meiN deedaHwar paida!
[ nargis=narcissus; be-noori=unattractiveness;
deedaHwar=one with an appreciative eye]
navaa paida ho ai bulbul ke ho terey tarannum sey
kabutar ke tan-e-naazuk meiN shaahiN ka jigar paida!
[ navaa=speech; tarannum=melody;tan-e-naazuk=feeble body; shaahiN=falcon]
terey seeney meiN hai poshidaaH raaz-e-zindagi
keh dey
musalmaaN sey hadees-e-soz-o-saaz zindagi
keh dey
[poshidaaH=hidden, concealed;
hadees-e-soz-o-saaz=stories of the sorrows and happiness]
kHuda-e-lamyazil ka dast-e-qudrat tu, zabaaN to hai
yaqiN paida kar ai gHaafil keH magHloob-e-gumaaN tu hai
[ dast-e-qudrat=natural hand, gHaafil=negligent;
magHloob-e-gumaaN=overpowered by suspicions]
parey hai charkH-e-neeli faam sey manzil musalmaaN ki
sitaarey jisski gard-e-raah hoN, woh kaarwaaN tu hai
[ parey=away; charkH-e-neeli faam=the blue sky
gard-e-raah=the fellow traveler]
makaaN faani, makieN aani, azal tera, abad tera,
kHuda ka aakHiri paigHaam hai tu, jawadaaN tu hai!
[ faani=mortal or perishable; makien=resident; azal=beginning of the
eternity;
abad=eternity; jawaadaaN=eternal]
henaa band-e-uroos-e-lalaah hai kHoon-e-jigar teraa
teri nisbat baraheemi hai mi'maar-e-jahaaN tu hai!
[ uroosaH=bride; nisbat=relation; mi'maar=builder]
teri fitrat ameiN hai mumkinaat-e-zindegaani ki
jahaaN ke johar-e-muzmir ka goyaa imtihaaN tu hai!
[ amein=trustworthy; mumkin=possiblity;
johar-e-muzmir=concealed quality]
jahaan-e-aab-o-gul sey aalum-e-jaaved ki kHatir
nabuwwat saath jissko ley gayi, woh armaghaaN tu hai!
[ aalum-e-jaaved=eternal world; nabuwwat=prophethood; armaghaan= gift]
yeh naktah surguzishte-millat-e-bezaa sey hai paida
keH aqwaam zameen-e-asia ka pasbaaN tu hai
[ naktah= point; bezaa=sun]
sabaq phir paRh sadaaqat ka, adaalat
ka, shuja'at ka
liyaa jaayega tujh sey kaam duniyaa
ki imaamat ka
[ sadaaqat= truthfullness; adaalat= jutice; shuja'at=bravery; imaamat=leadership]
yahi maqsood-e-fitrat hai, yahi ramz-e-musalmaani
akHuwwat ki jahaangiri, muhabbat ki faradani!
[ maqsood-e-fitrat= nature's intention; ramz=secret or enigma
akHuwwat=creation]
butaan-e-rang-o-khooN ko toRh kar millat maiN guum ho
jaa
naH turaani rahe baaqi, naH iraani, naH afgHaani
[ butaan=idols, millat=community]
mayaan-e-shaakHaaraaN sohbat-e-murgH-e-chaman kab tak
terey baazu maiN hai parwaaz-e-shaahin-e-qahastaani!
[ mayaan-e-shaakHaaraaN= horn's sheath; sohbat=vicinity; qahastaani=?]
gumaan aabad hasti meiN yaaqin mard-e-musalmaaN ka
bayabaaN ki shab-e-tareek meiN qandeel-e-rahbani!
[]
mitayaa qaisar-o-kasraa key istabraad ko jiss ney
woh kya tha? zor-e-haidar, faqr-e-bozar, sadq-e-sulmaani!
[]
huay ahraar-e-millat jaadaH paima kiss tajmul sey
tamaashai shigaaf-e-dar sey haiN sadiyoN key zindaani!
[]
sabaat-e-zindagi imaan-e-mahkam sey hai duniyaa meiN
keH almaani sey bhi paindatar niklaa hai turaani
[]
jab iss angaaraH-e-kHaki meiN hota
hai yaqeeN paida
to kar leta hai yeh baal-o-par-e-rooh
alaami paidaa
[]
gHulaami maiN naH kaam aati hai shamsheeraiN, naH tadbeeraiN
jo ho zauq-e-yaqeen paida to kaT jati haiN zanjeeraiN
[]
koi andaazaH kar saktaa hai usske zor-e-baazu ka?
nigah-e-mard-e-momin sey badal jaatil haiN taqdeeraiN!
[]
vilaayat, padshaahi, ilm aishia ki jahaangiri,
yeH sab kya hai? faqat ik nukta-e-imaaN ki tafsiraiN!
[]
brahimi nazar paida magar mushkil sey hoti hai
hawas chhup chhup ke seenoN maiN banaa leti hai tasviraiN!
[]
tameez-e-bandaaH wa aaqa fasaad-e-aadmiyat hai
hazra-e-cheerah vastaaN sakHt haiN fitrat ki taazireiN
[]
haqiqat aik hai har shay ki kHaaki
ho keH noori ho
lahoo khursheed ka Tapkega agar
zarrey ka dil cheeraiN
[]
yaqeeN mahkam, amal paiham, muhabbat faateh-e-aalam
jahaad-e-zindagaani maiN haiN yeH mardoN ki shamsheeraiN
[]
chaH baayad mard ra tibb-e-bulande,
mashrab-e-naabe
dil-e-garame, nigaah-e-pak beeney
jaan-e-betabe!
[]
uqaabi shaan sey jhapTey thay jo be baal-o-par nikley
sitaare shaam key kHoon-e-shafaq maiN doob kar nikley!
[]
huay madfoon-e-darya zair-e-darya tairne waaley
tamaaNchey mauj ke khaate thay jo, ban kar guhar nikley!
[]
gHubaar-e-rahguzar haiN, kimiyaa par naaz tha jin ko
jabeeneiN-e-kHaak par rakhtey thay jo akseer gar nikley
[]
hamaara naram ro qaasid payaam-e-zindagi laaya
kHabar deti thi jin ko bijliyaaN woH be kHabar nikley
[]
haram ruswaa huaa peer-e-haram ki kam-nigaahi sey
jawaanan-e-taatari kiss qadar saahab-e-nazar nikley!
[]
zamiN sey noor yaane aasmaaN parwaaz kahtay thay
yeH kHaaki zindaaH tar, paainda tar, taabinda tar nikley!
[]
jahaaN maiN ahal-e-imaaN soorat-e-kHursheed jeetey haiN
idhar doobey, udhar nikley, udhar doobey, idhar nikley!
[]
yaqeeN afraad ka sar maayaH-e-taamir-e-millat
hai
yahi quwwat hai jo surat gar-e-taqdir-e-millat
hai
[]
tu raaz-e-kin fakaaN hai apni aankhoN par ayaan
ho ja
kHudi ka razdaan ho ja, kHudaa ka tarjumaaN ho ja
[]
hawas ney kar diya hai TukRhey TukRhey nau-e-insaaN ko
akHuwwat ka bayaaN ho ja, muhabbat ki zabaaN ho ja
[]
yeH hindi, woH kHarasaani, yeH afgHaani, woH turaani
tu ai shar mindaH-e-saahil uchhal kar be karaaN ho ja
[]
gHubaar aaludaaH-e-rang-o-nisb haiN baal-o-par tairay
tu ai murgH-e-haram uRhney sey pahley pur fishaaN ho ja
[]
kHudi maiN Doob ja gHaafil! yeH satar-e-zindagaani hai
nikal kar halqaH-e-shaam-o-sahar sey jawadaaN ho ja
[]
musaaf-e-zindagi maiN seerat-e-faulaad paida kar
shabistan-e-muhabbat maiN hareer-o-par niyaaN ho ja
[]
guzar ja ban ke seel-e-tand ro koh-o-beyabaaN sey
gulistaaN raah meiN aaye to ju-e-nagHmaaH kHwaaN ho ja
[]
teray ilm-o-muhabbat ki nahiN hai
inteha koi
nahiN hai tujh sey baRh kar saaz-e-fitrat
maiN nawa koi
[]
abhi tak aadmi sayyad-e-zaboon-e-shaharyaari hai
qayaamat hai keH insaaN nau-e-insaaN ka shikaari hai!
[]
nazar ko kHairah karti hai chamak tahzeeb-e-hazir ki
yeH sannayi magar jhooTey nugoN ki raizaaH kaari hai!
[]
woH hikmat naaz tha jis par kHurd mandan-e-magHrib ko
hawas ke panjaa-e-kHooneiN maiN taigH kaar zaari hai!
[]
Tadabbur ki fasooN kaari sey mahkam ho nahiN sakta
jahaan meiN jiss tamaddun ki bina sar mayaH daari hai
[]
amal sey zindagi banti hai jannat bhi jahannam bhi
yeH kHaaki apni fitrat maiN naH noori hai naH naari hai
[]
kHarosh aamoz-e-bulbul ho girah gHunchey ki, wa kar dey
keH tu iss gulistaaN ke waastey baad-e-bahari hai
[]
phir uTthi aishiya ke dil sey chingaari muhabbat ki
zamiN jo la nagaH-e-atlas qabaayaan-e-tataari hai!
the last nine shers are in Persian...