|
|
![]() |
| urdustan > anam > 1997 |
badli ka chaand
by
Josh Malihabaadi
| khursheed, woh dekho doob gaya, zulmat ka nishaN lahraney lagaa
mahtab, woh halkey baadal sey chandi ke varaq barsaaney lagaa. woh saNwaley-pan par maidaan ke, halki si sabahat daurh chali
lo doob gayaa phir baadal meiN, baadal meiN woh khat sey daurh gaye
baadal meiN chhupa to khol diye, baadal meiN darichey heerey ke
simati jo ghataa tareeki meiN, chandi ke safiney le ke chalaa
gharfooN sey jhaanka gardooN ke, amvaaj ki nabzeiN taiz huiN
pardah jo uthaaya baadal ka, dariyaa peH tabassum daurh gayaa
ubhraa to tijjali daurh gayi, dooba to falak be-noor huaa
kya kaawish-e- noor-o- zulmat hai, kya qaid hai, kya aazadi hai
gardaab = bhaNwar gharfooN = windows ( singular is gharf) ziyaa = light kaawish = struggle |