|
|
![]() |
| urdustan > anam > 1997 |
Nisaar
maiN teri galiyoN pe..
by
Faiz Ahmed Faiz
|
Nisaar main teri galiyon peh ai watan, keh jahan
Chali hai rasm keh koi na sar utha keh chale Jo koi chahane wala tawaaf ko nikale Nazar chura keh chale, Jismo-jan bacha keh chale
Hai ahel-e-dil ke liye ab yeh nazm-e-bast-o-kushaad
Bahut hain zulm keh dast-e-bahana-ju keh liye
Magar Guzaarane walon ke din guzarate hain
Bujha jo raozan-e-zindan to dil yeh samajha hai
Gharaz tasvvur-e-shaam-o-sahar mein jeete hai
Yuhin hamesha ulajhati rahi hai zulm se khalq
Isi sabab se falak ka gilaa nahin karate
Gar aaj tujhse juda hain to kal baham hongey
Jo tujhse ahad-o-wafa ustuvaar rakhate hain
|